Total Pageviews

Friday, November 29, 2013

Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai

Bas aakhiri bar pee raha hu tera naam lekar…

Har din her shaam, Kyun dil udaas hota hai,
pal pal kissi ko soch ker kyun yeh ehsaas hota hai,
chota sa yeh dil hai, aasha hai dil ki choti si,
kaash wo ho hamare paas, bas dil beqaraar rehta hai..


Aaj Fir wohi shaam aayi teri yaadon ko sath lekar,
Aaj fir ek karam uthai hathon me jaam lekar,
Ki karunga na yaad tumhe aaj ke baad,
Bas aakhiri bar pee raha hu tera naam lekar…

Wednesday, November 27, 2013

Hum Sab Ke Ho Jate Par Koi Hamara Nahi Hota

Dard Me Koi Mausam Pyaara Nai Hota
Dil Ho Pyasa To Pani Se Guzara Nai Hota
Koi Dekhe To Hamari Bebassi ghalib
Hum Sab Ke Ho Jate Par Koi Hamara Nahi Hota

Thursday, November 21, 2013

Khafa hona bhi mumkin hai, Khata hona bhi mumkin hai,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana lena,
Yeh sadiyon say riwayat hai,
Gilay shikway karo mujh se,
Tumhain janan ijazat hai,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh lena,
Kabhi aisa bhi hota hai,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hai,
Khata hona bhi mumkin hai,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay se,
Kabhi toota nahin karte…!

Wafaon ke badlay jafa to na doge Or mujh hi se daman chhura to na loge

Agar main bata dun ke kya chahta hun
nazron se apni gira to na doge,

Jo main chahta hun, woh tb bhi na chaho
Mujhey koi karwi si saza to na doge

Main mohabbat me jabaran ke qayal nahin hun
Dil laga ker ke mujh ko bhula to na doge

Jo main ab bata du mere dil me kya hai
jahan me tamasha bana to na doge

Yahi dar hai tmse  raaz-e-dil sunaun main kaise
Tum hansi main mohabbat uda to na doge

Wafaon ke badlay jafa to na doge
Or mujh hi se daman chhura to na loge

Wednesday, November 20, 2013

Tujhe Hi Sochta Hoon Subh Se Shaam Hone Tak.....

Andheri Raat Ke Lamhe Tamaam Hone Tak.....
Tujhe Hi Sochta Hoon Subh Se Shaam Hone Tak.....

Main Aisa Jism Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai....
Adhuri Zaat Hoon Main Bin Tere Naam Hone Tak.....

Teri Aawaz Sun Na Loon To Mera Dil Nahi Lagta......
Tadapta Rehta Hoon Tujh Se Hum Kalaam Hone Tak.....

Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hun Main Jaana....
Mujhe Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak.....

Ishq Ki Aag Jo Seene Me Laga Baithe Hain......
Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak......

Khanjar sey karo bat na talwar sey pocho, Main qatal howa kesey merey yar sey pocho.

Khanjar sey karo bat na talwar sey pocho,
Main qatal howa kesey merey yar sey pocho. 

Zakhm-E-Tanhai Main Khushbu-E-Hina Kis Ki Thi

Zakhm-E-Tanhai Main Khushbu-E-Hina Kis Ki Thi
Saya Diwar Pe Mera Tha Sada Kis Ki Thi

Uski Raftar Se Lipti Rahi Meri Ankhen
Us Ne Mur Kar Bhi Na Dekha K Wafa Kis Ki Thi

Waqt Ki Tarah Dabe Panw Ye Kaun Aya Hai
Main Andhera Jise Samjha Wo Qaba Kis Ki Thi

Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daman Mera
Hath To Main Ne Uthaye The Dua Kis Ki Thi

Meri Ahon Ki Zaban Koi Samajhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi

Ag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
Di Gai Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi

Main Ne Binaiyan Bo Kar Bhi Andhere Kate
Kis K Bas Main Thi Zamin Abr-O-Hawa Kis Ki Thi

Chor Di Kis Liye Tu Ne  sangedil Duniya
Justaju Si Tujhe Har Waqt Bata Kis Ki Thi

Ye lo dil. . Ye jaan bhi lo. .Ab batao or kya chahte ho"...?

Nazar-e-Muhabat ka kya Tawaan Chahte Ho?
Dil Chahte Ho Ya Jaan Chahte Ho ?
Parwa Nahi Anjaam-e-Muhabat Jo Bhi Ho?
Bas Ab Faisla Suna Do Jo Tum Chahte Ho?
Phoolon ki Gali Ho Ya Ho Kanto ki Dagar...?
Le Jao Sanam Wahan Jahan tum Chahte Ho?
Be-His Tum Nahi to Khamosh kyun Ho...?
Ye lo dil. . Ye jaan bhi lo. .Ab batao or kya chahte ho"...?

kharch ho jatey isi ik mohabbat men' Dil agar aur bhi seeny men hamary hotey...

Roz-o- shab yon na aziyet men guzary hotey'
chain aa jata agar khail kar haarey hotey,

khud se fursat hi muyassar nahi hai warna'
Ham kisi aur k hotey to tumhary hotey,

Tu ne bhi gham ko agar theek se parha hota'
Tery chehry pe khad-o-khaal hamary hotey,

Ik bhi moj agar hamari himayet karti'
men ne us paar kai log utary hotey,

lag gai aur kahin umar ki ponji warna'
zindagi ham teri dehleez pe haary hotey,

kharch ho jatey isi ik mohabbat men'
Dil agar aur bhi seeny men hamary hotey...

Meri zindagi badal de ga, tera iqrar bhi, inkaar bhi..

Maana ke galat hum hi they jo itna toot kar chaah baithe.
Par royega bahut wo shakhs aisi wafa ki talaash kartey kartey,

Adhura sa mehsus karta hu main khud ko aaj kal.
Jaise koi chor gaya hai Mujhe ta'meer kar ke.....

Hawa jab ZarD Patto ko Juda Shakho sy karti hai
Hamay Tumsy Bechar jana Bohat hi yaaD aatta hai

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,
Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…

Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tumse,
Meri zindagi badal de ga, tera iqrar bhi, inkaar bhi..

Monday, November 18, 2013

Bichartay waqat baray guroor say kaha tha us nai tuj jaisay lakho milain gay ham ye sun kar muskura diye oar kaha mujh jaisay he ke talash kyun?

Bichartay waqat baray guroor say
kaha tha us nai
tuj jaisay lakho milain gay
ham ye sun kar muskura diye oar
kaha
mujh jaisay he ke talash kyun?

Wo Na Bhi Milen To Kaya Hua, Ye Ishq Hai Hawas Nahi,

Wo Na Bhi Milen To Kaya Hua,
Ye Ishq Hai Hawas Nahi,

Main Unhi Ki Thi, Unhi Ki Hun
Wo Mere Nahi To Na Sahi..!!!

Dil me Dhadkan or Ankhon Me Ansu Thum Jate Hai,

Dil me Dhadkan or Ankhon Me Ansu Thum Jate Hai,
Jab Kabhi Hum Apke Is Asiyane Me Atey Hai,
Thaam To Lete Hai Palko Ki Kapkapahat Do Ghadi,
Par In Ansuo Ka Kya Kare Jo Pal Me Bikhar Jate hai…..

Phir mausam-E-bahaar mere gulsitaaN meN hai

'Taazaa muhabbatoN ka nasha jism-O-jaaN meN hai
Phir mausam-E-bahaar mere gulsitaaN meN hai

Ik khaab hai ke baar-E-digar dekhte haiN hum
Ik aashna si roshni saare makaaN meN hai

Tabish meN apni mehr-O-mah-O-najam se siwa
Jugnoo se yeh zameen ko kaf-e-aasmaaN meN hai

Ik shaakh-E-yaasmeen thi kal tak khizaaN asar
Aur aaj sara baaGh ussi ki amaaN meN hai

Khushbu ko tark karke na laaye chaman meN rang
Itni to soojh boojh mere baaghbaaN meN hai

Lashkar ki aankh maal-E-ghaneemat pe hai lagi
Salaar-E-fauj aur kisi imtehaaN meN hai

Har jaan nisaar yaad dihaani meN munhamik
Naiki ka har hisaab dil-E-dostaaN meN hai

Hairat se dekhta hai samandar meri taraf
Kashti meN koi baat hai ya baadbaaN meN hai

Uska bhi dheyaan jashn ki shab ae sipah dost
Baqi abhi jo teer, uduu ki kamaaN meN hai

Baithe raheNge shaam talak tere sheesha gar
Yeh jaante huye ke khasaaraa dukaaN meN hai'

Wohi Sab Kuch Sahi Laikin.. Ab Aisa Hy.. Meri Baatein... Usay Achi Nahi Lagteen :-|

Wohi Aankhen Hain..
Jin Mei Zindgi Ne Khwab Likhy Thy!!
.
Wohi Palken Hain Jin Per..
Mere Honton Ki Shuaaon Ne..
Chuni Thi Kehkishaan Aksar..
.
Wohi Lab..
Jin Se Lafzon K Sitaary Toot Kar..
Meri Ghazal Mei Saans Leity Thy..
.
Wohi Chehra..
Jo Harf_o_Saut K Daayiry Mei..
Markazi Nuqta..
.
Wohi Gardan..
K Jis Mei Aqqd_e_Marjaan..
Aaeena_Bandi Ka Khumeyaaza..
.
Wohi Baazu..
Jinhen Mere Badan Ka Lams Aksar..
Be_Karaan Chahat Ki Rut Se..
Aashna Karta..
.
Wohi Sab Kuch..
Magar Ik Farq Waazeyaa Hy..
K Ab Uski Tabiyyat Mei Samandar Ka Tamawaj Hy..
.
Wohi Sab Kuch...
Magar Ab Iss Tarah Lagta Hai Jaisy..
K Hum Mei Na_Deeda Faseelen Khich Gayeen Khud Se..
.
Kabhi Meri Muhabbat Se Atti Mahtaab Ki Raatein..
Ghani Raatein.
Ab Usay Achi Nahi Lagteen..
.
Kabhi Be_Rabt_o_Be_Khwahish Mulaqaatein..
Usay Achi Nahi Lagteen..
.
Wohi Sab Kuch Sahi Laikin..
Ab Aisa Hy..
Meri Baatein...
Usay Achi Nahi Lagteen :-|

Suna Hai Dil Sy Dharkan Ki Judai Mout Hoti Hai.

Usay Hum Chor Den Lekin Bus ik Choti Si Uljhan Hai,
Suna Hai Dil Sy Dharkan Ki Judai Mout Hoti Hai.

Sunday, November 17, 2013

Shauq-E-Sawab Ne Mujhe Dala Azab Main

Jalta Hun Hijr-E-Shahid-O-Yad-E-Sharab Main
Shauq-E-Sawab Ne Mujhe Dala Azab Main
Kahte Hain Tum Ko Hosh Nahin Iztarab Main
Sare Gile Tamam Hue Ek Jawab Main
Phaili Shamim-E-Yar Mere Ashk-E-SurKh Se
Dil Ko Gazab Fishar Hua Pech-O-Tab Main
Rahte Hain Jama Kucha-E-Janan Main Khas-O-Am
Abad Ek Ghar Hai Jahan-E-Kharab Main
Badnam Mere Giriya-E-Ruswa Se Ho Chuk
Ab Uzr Kya Raha Nigah-E-Behijab Main
Matlab Ki Justaju Ne Ye Kya Hal Kar Diya
Hasrat Bhi Nahin Dil-E-Nakamayab Main
Nakamiyon Se Kam Raha Umr Bhar Hamain
Piri Main Yas Hai Jo Hawas Thi Shabab Main
Kya Jalwe Yaad Aye K Apni Khabar Nahin
Be-Bada Mast Hun Main Shab-E-Mahtab Main

Chandni Raat Bari Der Ke Baad Ayi,

Chandni Raat Bari Der Ke Baad Ayi,
Yeh Mulaqat Bari Der Ke Baad Ayi,
Aaj Aye Hain Woh Milne Ko Bari Der Ke Bad,
Aaj Ki Raat Bari Der Ke Baad Ayi..

har zarrey ke naqaab meiN dil be-qaraar hai

be-pardah soo-e vaadi-e-majnooN guzar na kar
har zarrey ke naqaab meiN dil be-qaraar hai

Friday, November 15, 2013

Khun Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Hua

Khun Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Hua
Phir Mujhe De Diya Gaya Ek Diya Bujha Hua
Ek Hi Dastan-E-Shab Ek Hi Silsila To Hai
Ek Diya Jala Hua Ek Diya Bujha Hua
Mahfil-E-Rang-O-Nur Ki Phir Mujhe Yad A Gai
Phir Mujhe Yad A Gaya Ek Diya Bujha Hua
Mujh Ko Nishat Se Fuzun Rasm-E-Wafa Aziz Hai
Mera Rafiq-E-Shab Raha Ek Diya Bujha Hua
Dard Ki Kainat Main Mujh Se Bhi Raushani Rahi
Waise Meri Bisat Kya Ek Diya Bujha Hua
Sab Meri Raushani-E-Jan Harf-E-Sukhan Main Dhal Gai
Aur Main Jaise Rah Gaya Ek Diya Bujha Hua

Dil Tarrapte Rahe, Dhol Bajta Raha..

Ashkk Girte Rahe, Dhol Bajta Raha,
Log Marte Rahe, Dhol Bajta Raha,
Ronqain Lag Gayi’n, Roshni Barh Gayi,
Khawab Jalte Rahe, Dhol Bajta Raha,
Kitne Lachaar They, Kitne Be’bas They Hum,
Hath Milte Rahe, Dhol Bajta Raha,
Raqss They Maseeha Mere Dam-Be’dum,
Dil Tarrapte Rahe, Dhol Bajta Raha..

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain
Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain
Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee
Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain
Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen
Shaam Hotay Hee Log To Ghar Jaatay Hain

Tum Tum Nahi Rahe Ho, Hum Hum Nahi Rahe Hain,

Jis Se Bandhe Thay Dono, Wo Gham Nahi Rahe Hain,
Tum Tum Nahi Rahe Ho, Hum Hum Nahi Rahe Hain,
Chahat Ke Geet Mein Hai, Koi Kami Yaqeenan,
Akhir Tere Mere Sur Jam Nahi Rahe Hain,
Ro Ro Ke Tere Dukh, Sehra Sa Ho Gaya Hoon,
Ab Aankh Ke Kinaray Bhi Nam Nahin Rahe Hain,
Lamhon Ke Pair Par Hain, Kuch Phool Dard-E-Gham Ke,
Jeewan Mein Ab Khushi Ke Mausam Nahi Rahe Hain,
Tu Aur Simt Mein Hai, Mein Aur Simt Mein Hoon,
Ulfat Ke Raastay Ab Baham Nahi Rahe Hhain,
Fikr-E-Muaash Ne Tu Jazbon Ko Rond Dala,
Aashiq Wagarna Hum Bhi Kuch Kam Nahi Rahe Hain,
Raahon Mein Ab Kharha Hoon, Phelaae Haath Khali,
Gham Thay Mera Asasa Aur Gham Nahi Rahe Hain,
Tum Hi The Meri Dunya, Tum Hi Meri Muhabbat,
Tum Jo Nahi Tu Dono Aalam Nahi Rahe Hain..

Vo Jo Mil Gaya Use Yad Rakh Jo Nahi Mila Use Bhul Ja

Kahan Aa K Rukne The Raste Kahan Mor Tha Use Bhul Ja
Vo Jo Mil Gaya Use Yad Rakh Jo Nahi Mila Use Bhul Ja
Vo Tere Nasib Ki Barishen Kisi Aur Chat Pe Baras Gai
Dil-E-Bekhabar Meri Bat Sun Use Bhul Ja Use Bhul Ja
Main To Gum Tha Tere Hi Dhyan Main Teri As Main Tere Guman Main
Hava Kah Gai Mere Kan Main Mere Sath A Use Bhul Ja
Tujhe Chand Ban K Mila Tha Jo Tere Sahilon Pe Khila Tha Jo
Vo Tha Ek Dariya Visal Ka So Utar Gaya Use Bhul Ja

Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai

Dil K Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai
Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai
Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai
Bol Ai Sham-E-Safar Rang-E-Rihai Kya Hai
Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai
Kaun Ubharate Hue Mahatab Ka Rasta Roke
Us Ko Har Taur Su-E-Dasht-E-Sahar Jana Hai
Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe
Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai
Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-E-Dil
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai

Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-E-Natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,
Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,

Thursday, November 14, 2013

Jidhar Dekhta Hun Wahi Ru-Ba-Ru Hai

Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justaju Hai
Zaban Jab Talak Hai Yahi Guftagu Hai
Khuda Jane Kya Hoga Anjam Is Ka
Main Besabar Itna Hun Wo Tund Khu Hai
Tamana Hai Teri Agar Hai Tamana
Teri Arzu Hai, Agar Arzu Hai
Kiya Sair Hamne Gulzar-E-Duniya
Gul-E-Dosti Main Ajab Rang-O-Bu Hai
Ganimat Hai Ye Did Wa Did-E-Yaran
Jahan Mund Gayi Ankh, Main Hun Na Tu Hai
Nazar Mere Dil Ki Pari Dard Kis Par
Jidhar Dekhta Hun Wahi Ru-Ba-Ru Hai

Tum Se Bicharr Kar Pehron Sochtaa Rehtaa Hoon, Ab Mein Kyon Aur Kis Ki Khatir Zindaa Hoon..

Tum Se Bicharr Kar Pehron Sochtaa Rehtaa Hoon,
Ab Mein Kyon Aur Kis Ki Khatir Zindaa Hoon..

Dil K Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai

Dil K Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai
Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai
Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai
Bol Ai Sham-E-Safar Rang-E-Rihai Kya Hai
Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai
Kaun Ubharate Hue Mahatab Ka Rasta Roke
Us Ko Har Taur Su-E-Dasht-E-Sahar Jana Hai
Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe
Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai
Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-E-Dil
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phailao Kisi Din

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phailao Kisi Din
Kya Roz Garajate Ho Baras Jao Kisi Din
Razon Ki Tarah Utaro Mere Dil Main Kisi Shab
Dastak Pe Mere Hath Ki Khul Jao Kisi Din
Peron Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha Lun
Badal Ki Tarah Jhum K Ghir Ao Kisi Din
Khushbu Ki Tarah Guzro Mere Dil Ki Gali Se
Phulon Ki Tarah Mujh Pe Bikhar Jao Kisi Din
Phir Hath Ko Khairat Mile Band-E-Qaba Ki
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Dohrao Kisi Din
Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jayen Sitare
Is Tarah Meri Rat Ko Chamkao Kisi Din
Main Apani Har Ik Sans Usi Rat Ko De Dun
Sar Rakh K Mere Sine Pe So Jao Kisi Din

Bazicha-E-Atfal Hai Duniya Mere Age
Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mere Age
Ik Khel Hai Aurang-E-Suleman Mere Nazdik
Ik Bat Hai Ejaz-E-Masiha Mere Age
Juz Nam Nahi Surat-E-Alam Mujhe Manzur
Juz Waham Nahi Hasti-E-Ashiya Mere Age
Hota Hai Nihan Gard Mein Sehra Mere Hote
Ghista Hai Jabin Khak Pe Dariya Mere Age
Mat Puch K Kya Hal Hai Mera Tere Piche
Tu Dekh K Kya Rang Hai Tera Mere Age
Sach Kahte Ho Khudbin-O-Khudara Hun Na Kyon Hun
Baitha Hai But-E-Aina Sima Mere Age
Phir Dekhiye Andaz-E-Gulafshani-E-Guftar
Rakh De Koi Paimana-E-Sahba Mere Age
Nafrat Ka Guman Guzre Hai Main Rashk Se Guzra
Kyon Kar Kahun Lo Nam Na Us Ka Mere Age
Iman Mujhe Rok Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
Kaba Mere Piche Hai Kalisa Mere Age
Ashiq Hun Pe Mashuqfarebi Hai Mera Kam
Majnun Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Age
Khush Hote Hain Par Wasl Mein Yun Mar Nahi Jate
Ai Shab-E-Hijaran Ki Tamanna Mere Age
Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khun Kash! Yahi Ho
Ata Hai Abhi Dekhiye Kya-Kya Mere Age
Go Hath Ko Jumbish Nahi Ankhon Mein To Dam Hai
Rahne Do Abhi Sagar-O-Mina Mere Age
Hampesha-O-Hammasharab-O-Hamraz Hai Mera
‘Ghalib’ Ko Bura Kyon Kaho Acha Mere Age

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Bagair

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Bagair
Janega Ab Bhi Tu Na Mera Ghar Kahe Bagair
Kahte Hain, Jab Rahi Na Mujhe Taqat-E-Sukhan
Janun Kisi K Dil Ki Main Kyunkar Kahe Bagair
Kam Us Se A Para Hai K Jisaka Jahan Mein
Lewe Na Koi Nam Sitamagar Kahe Bagair
Ji Mein Hi Kuch Nahi Hai Hamare Wagarna Ham
Sar Jaye Ya Rahe Na Rahen Par Kahe Bagair
Chorunga Main Na Us But-E-Kafir Ka Pujana
Chore Na Khalq Go Mujhe Kafir Kahe Bagair
Maqsad Hai Naz-O-Gamza Wale Guftagu Mein Kam
Chalta Nahi Hai, Dashna-O-Khanjar Kahe Bagair
Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu
Banti Nahi Hai Bada-O-Sagar Kahe Bagair
Bahra Hun Main To Chahiye Duna Ho Iltfat
Sunta Nahi Hun Bat Muqarrar Kahe Bagair
“Ghalib” Na Kar Huzur Mein Tu Bar-Bar Arz
Zahir Hai Tera Hal Sab Un Par Kahe Bagair

Maharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt Main

Maharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt Main
Gaya Waqt Nahi Hun K Phir A Bhi Na Sakun
Zauf Mein Tana-E-Agyar Ka Shikwa Kya Hai Bat
Kuch Sar To Nahi Hai K Utha Bhi Na Sakun
Zahar Milta Hi Nahi Mujhko Sitamgar Warna
Kya Qasam Hai Tere Milne Ki K Kha Bhi Na Sakun

Ye Jo Ham Hijr Mein Diwar-O-Dar Ko Dekhte Hain

Ye Jo Ham Hijr Mein Diwar-O-Dar Ko Dekhte Hain
Kabhi Saba Ko Kabhi Namabar Ko Dekhte Hain
Wo Aye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai
Kabhi Ham Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain
Nazar Lage Na Kahin Us K Dast-O-Bazu Ko
Ye Log Kyon Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain
Tere Jawahir-E-Tarf-E-Kulah Ko Kya Dekhen
Ham Auj-E-Tala-E-Lal-O-Guhar Ko Dekhte Hain

Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise

Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise
Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise
Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-E-Khayal Mein
Guldasta-E-Nigah Suweda Kahen Jise
Phunka Hai Kisne Goshe Muhabbat Mein Ai Khuda
Afsun-E-Intazar Tamanna Kahen Jise
Sar Par Hujum-E-Dard-E-Garibi Se Daliye
Wo Ek Musht-E-Khak K Sahra Kahen Jise
Hai Chashm-E-Tar Mein Hasrat-E-Didar Se Nihan
Shauq-E-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise
Darkar Hai Shiguftan-E-Gul Haye Aish Ko
Subh-E-Bahar Panba-E-Mina Kahen Jise
“Ghalib” Bura Na Man Jo Waiz Bura Kahe
Aisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise

Teri Qasm Ka Kuch Aitabar Nahi Hai

A Ki Meri Jan Mein Qarar Nahi Hai
Taqat-E-Bedad-E-Intazar Nahi Hai
Dete Hain Jannat Hayat-E-Dahar Ke Badle
Nasha Ba Andaza-E-Khumar Nahi Hai
Giriya Nikle Hai Teri Bazm Se Mujh Ko
Haye! K Rone Pe Ikhtiyar Nahi Hai
Ham Se Abas Hai Guman-E-Ranjish-E-Khatir
Khak Mein Ushshaq Ki Gubar Nahi Hai
Dil Se Utha Lutf-E-Jalwa Haye Mani
Gair-E-Gul Aina-E-Bahar Nahi Hai
Qatl Ka Mere Kiya Hai Ahad To Bare
Waye! Agar Ahad Ustawar Nahi Hai
Tu Ne Qasam Maikashi Ki Khai Hai ‘Ghalib’
Teri Qasm Ka Kuch Aitabar Nahi Hai

Mujhe Muhabbat K Siwa Kuch Nhi Ata

Tujhe Muhabbat Karna Nhi Ata
Mujhe Muhabbat K Siwa Kuch Nhi Ata
Zindagi Guzarne K Do Hi Tareeke Hain Galib
Aik Tujhe Nhi Ata Aik Mujhe Nhi Ata

Kabhi Abad Krta Tha Kabhi Barbad Krta Tha,

Kabhi Abad Krta Tha Kabhi Barbad Krta Tha,
Sitam Woh Roz Ik Naya Ijad Krta Tha,
Zamana Ho Gaya Lekin Khabar Lene Nahi Aya,
Jo Panchi Roz Mere Nam Pr Azad Krta Tha…

Main Hosh Mein Tha Tou Phir Uss Pe Mar Gaya Kaise

Main Hosh Mein Tha Tou Phir Uss Pe Mar Gaya Kaise
Yeh Zehar Mere Lahoo Mein Utter Gaya Kaise
Kuch Uss K Dil Mein Lagawat Zaroor Thi Warna
Woh Mera Haath Daba Ker Guzar Gaya Kaise
Zaroor Uss Ki Tawajo Ki Rehbari Ho Gi
Nashe Mein Tha Tou Main Apne Hi Ghar Gaya Kaise
Jise Bhulaye Kayi Saal Ho Gaye Kamil
Main Aaj Uss Ki Gali Se Guzar Gaya Kaise

Thaam K Haath Main Phool Apko Bhi Aana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bujh Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pachhtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaunga
Thaam K Haath Main Phool apko bhi Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Dena Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!

main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai

tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai
jit le jaye koi mujhko nasibon vala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai
jane kab aaye koi dil mein jhankane vala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai
imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai

badi sadgi se qatal kiya ye bhi jana! tera kamal hai

mera ishq tera urooj tha
yun bichadna tera zawal hai

badi sadgi se qatal kiya
ye bhi jana! tera kamal hai

ke tu laot ayegi ek din
mere dil ko ab bhi malal hai

Main tere pyar ki vaadi se ab dur aa nikla

Tassvuraat ki duniya se dur aa nikla
Main tere pyar ki vaadi se ab dur aa nikla
Bohot sukun mila usko jankar "Ghalib"
janaza mera to jo mera dayar se nikla

Mai jisko chahta hun usne bas itna kaha mujhse

Mai jisko chahta hun usne bas itna kaha mujhse
Suno! Ye rog hai is rog me mat mubtela hona
Kiya israr maine jb to usne vasta dekar
Mohabbat ko meri rusvaiyon ka chapter kehkar
Tamami aarzoun ko dafan kar dala ek pal me
The jo jazbat un sab ko kuchal dala bas ek pal me

Main khawabon ki duniya me basera nahin karta

Main khawabon ki duniya me basera nahin karta
Jo ho na moqaddar me vo Chaha nahin karta
Tum aag ki dariya me mujhe chhor ke aai
Main phir bhi kisi haal me shikwa nahin karta

tumhe main bhul jana chahta hun

tumhe main bhul jana chahta hun
mai khud ko aazmana chata hun
ab usse raabta mumkin nhn hai
ye dil ko main batana chahta hun
jale parwana shamma ki tapish se
main parwana hun jalna chahta hun
hai kwahish dekh lu ek bar tujho
phir aankhen band karna chahta hun
jo hai seene me tere sang sa dil
mai usko mom karna chahta hun
ye dil tera rahega yaad rakhna
jo namumkin ho karna chahta hun
nhn sahil fikar mujhko jahan ki
banana tujhko apna chahta hun 

MUJHE APNA MAAN LETI TO KUCH AUR BAAT HOTI........

MUJHE ISHQ THA TUMHI SE , MUJHE ISHQ HAI TUMHI SE
ISE TUM SAMAJH JO LETI TO KUCH AUR BAAT HOTI.......
MUJHE GHAM NAHIN HAI ISKA TU KISI KI HO CHUKI HAI 
MUJHE APNA MAAN LETI TO KUCH AUR BAAT HOTI........

Hausley wo na rahey ham na rahey dil na raha


Wadiye najd men wo shor-i salasil na raha,
Qais deewana-i nazzarai mehmil na raha
Hausley wo na rahey ham na rahey dil na raha
Ghar ye ujra hai ke too raunaq-i mahfil na raha
Aye khush aan rooz ke aayee wa basad naaz aayee
Bay hijabana su-i mahfil-i maa baaz aayee

(The noise of lover’s chains in the Najd’s valley has disappeared
Qais has no more remained longing for the litter’s sight
Those old ambitions, we, as well as the heart have disappeared
The house is destroyed as Thou art not present in the house
O that happy day when Thou with elegance will come back
When Thou unveiled to our congregation will come back.)

Kiya qayaamat hai ke khud phool hain ghammaz-i chaman


Boo-i gul lay gai bairoon-i chaman raaz-i chaman
Kiya qayaamat hai ke khud phool hain ghammaz-i chaman
Ahd-i gul khatm hua toot gaya saz-i chaman
Ur gai daliyon se zamzama pardaz-i chaman
Ek bulbul hai ke hai mahv-i tarannum abtak
Uske seeney men hai naghmoon ka talatum abtak

(The rose’ fragrance took garden’s secret outside the garden
Outrageous that flowers themselves are informers against the garden
The spring is over, broken is the orchestra of the garden
 Flown away from branches are the songsters of the garden
Only  nightingale is left which is singing  still
In its breast overflows the flood of songs still.

Lutf marney men hai baqi na maza jeeney men

Lutf marney men hai baqi na maza jeeney men
Kuch maza hai to yihee khoon-i jigar peeney men
Kitney betaab hain johar mirey aaeeney men
Kis Qadar jalway taraptey hain mirey seeney men
Is Gulistaan men magar dekhnay waley hi naheen
Daagh jo seene men rakhte hoon wo lalay hi naheen

(There is no pleasure in dying and no taste in living is
If there is any pleasure, it in bearing this affliction is
Many a virtue is restless in my mirror!
Many an effulgence is fluttering in my breast!
But there is none in this garden to see them
There is no poppies[6] with love’s stains in their breasts).
Lutf marney men hai baqi na maza jeeney men
Kuch maza hai to yihee khoon-i jigar peeney men
Kitney betaab hain johar mirey aaeeney men
Kis Qadar jalway taraptey hain mirey seeney men
Is Gulistaan men magar dekhnay waley hi naheen
Daagh jo seene men rakhte hoon wo lalay hi naheen

(There is no pleasure in dying and no taste in living is
If there is any pleasure, it in bearing this affliction is
Many a virtue is restless in my mirror!
Many an effulgence is fluttering in my breast!
But there is none in this garden to see them
There is no poppies[6] with love’s stains in their breasts).

After one year of reciting Shakwa Iqbal presented Jawab-i Shakwa in a huge gathering in 1913 at a famous public place Outside Mochi Gate of Lahore City. Jawab-I Shakwa contains 36 stanzas of six lines or verses each. This thrilling poem in a way was a call from God rather than a reply to Iqbal’s complaint. It added fire to the already boiling blood of the nation after Iqbal’s Shakwa, as a result of  the Indian Muslims arose with a new life filled with enthusiasm, courage and a determination to change their fate. Inspired by Iqbal’s songs they were united, fought the war of independence and achieved victory. Once again the Muslims of India were a free nation and masters of their own destiny living in an independent country called Pakistan, the new Muslim State appeared on the world map on  the 14th  of. August 1947.

The revelation of Jawab-I Shakwa and its compilation took a long time of over one year. In this poem a comprehensive reply to Iqbal’s complaint to Allah is given This poem contains 36 stanzas out of which I have selected nine stanzas which are quoted hereunder together with their English translation;
At the outset Allah says,

Ham to mayal ba karam hain koi saail hi naeein
Rah dikhlaeen kisay rahrav-i manzil hi naheen.
Tarbiat aam to hai johar-i qabil hi naheen
Jis say taamir ho adam ke ye wo gil hi naheen
Koi qabil ho to ham shan-i kai detay hain
Dhoodnay walay ko dunya bhi nayi detay hain.

We[7] are inclined to Mercy, but there is no one to implore
Whom can we show the way? There is no wayfarer to the destination
Jewel polishing is common but there is no proper jewel
There is no clay capable of being moulded into Adam
We confer the glory of Kai[8] on the deserving
We confer even a whole new world on those who search.
The following three stanzas are in direct reply to the  three stanzas in the Complaint (Shakwa):

Wo bhi din thay ke yihi maayai raanaa-i thaa
Naazish-i mausami gul laala-i Sahra-i tha
Jo musalman tha allah ka shaida-i tha
Kabhi mahboob tumhara yihi harjai tha
Kisi yakjai sey ab ahd-i ghulaami karlo
Millat-i Ahmad-i Mursil ko Moqami karlo

(There was a time when this alone was the source of beauty
The wild tulip was the pride of the season of spring
Whichever Muslim there was, the Lover of Got he was
A while ago your beloved this very Unfaithful was
Make the covenant of fealty now with some local one
Make the Ummah of the Holy Prophet a local one.)

Safah-i dahr sey baatil ko mitaya kisne
Nau-i insaan ko ghulami sey churaya kisne
Merey kaabae ko jabeenon sey basaaya kisne
Merey Qur’an ko seenon sey lagaya kisne
Thay to aaba wo tumharay hi magar tum kiya ho
Hath par hath dharay muntazir-i farda ho

(Who effaced false worship from the face of the world?
Who rescued the human race from slavery?
Who adorned my Ka’bah with their foreheads in Love?
Who put my Qur’an to their breasts in reverence?
They were surely your ancestors, but what are you?
Sitting in idleness, waiting for tomorrow are you!)

Kiya kaha bahri musalman hai faqat waadai hoor
Shakwa beja bhi karay koi to laazim hai shaoor
Adl hai faatir-i hasti ka azal sey dastoor
Muslim aaeen hua kfir to milay hoor-o qasoor
Tum men hooron ka koi chahnay wala hi naheen
Jawai toor to maujood hai Moosa hi naheen

(What did you say? For the Muslims is only the promise of Houri
Even  if the Remonstrance be unreasonable decorum is necessary
Justice is the Creator of Existence’ custom since eternity
When the infidel adopts Muslim ways he receives Houris and palaces
Not a single one of you is longing for Houris
The effulgence of Tur exists but there is no Musa.[9])

At the end of Jawab-i Shakwa the Response offers a new hope for Ummah and also provides the remedy of all diseases of the Muslims. The following 30 verses (five stanzas) are the essence of this poem:

Ummateen gulshan-i hasti men samar cheeda bhi hain
Aur mahroom-i samar bhi hain khizan deeda bhi hain
Sankron Nakhl hain kaheeda bhi’ baleeda bhi hain
Sankron batn-i chaman men abhi poshida bhi hain
Nakhl-i Islam namuna hai bromandi ka
Phal hai ye sankron saddiyun ki chaman bandi ka.

(Some nations in the existence’s garden benefited from their labour are
And some deprived from fruits and even destroyed by autumn are
Hundreds of trees deteriorated and hundreds flourishing are
Hundreds still even concealed in the bosom of the garden are
The tree of Islam a model of flourishing is
This the fruit of cons of gardening efforts is)

Pak hai gard-i watan say sar-i daman tera
Too wo Yusuf hai ke har misr hai kanaan tera
Qafla ho na sakega kabhi veran tera
Ghair yek bang-i dara kuch naheen saman tera
Nakhl-i shamasti-o dar shola dawad resha-i to
Aaqibat soz bawad saya-i andesha-i to

(Your skirt is undefiled by the dust of homeland
You are the Yusuf for whom every Egypt is Kan’an[10]
It will never be possible to destroy your caravan
Nothing except the Clarions’s Call are your chattel
You are a candle like tree, it its flame’s smoke your roots are
Your thoughts free from the care of the end are.)

Misl-i boo qaid haye ghunche  men pareeshan hoja
Rakht bar dosh hawa-i chmanistaan hoja
Hai tunak maya to zarrey say biyabaan hoja
Naghma-i Mauj say hangaama-i toofaan hoja
Quwwat-i Ishq sey her past koi balaa kardey
Dhr men ism-i Muhammad sey Ujala krdey

(Like fragrance you are contained in the flower bud, become scattered
Become the chattel travelling on the wings of the breeze of the rose garden
If you are poor, changed from speck to the wilderness be
From the melody of wave changed to tumult of the storm be
With the Love’s power elevate every low to elegance
With Muhammad’s name illuminate the whole world.)  

Ho na ye phool to bulbul ka tarannum bhi na ho
Chaman-i dhr men kalyun ka tabassum bhi na ho
Ye na saqi ho to phir mai bhi na ho khum bhi na ho
Bazm-i tawhid bhi dunya bh na ho tum bhi na ho
Khema aflaak ka istada isi naam se hai
Nabz-i hasti taphis aamada isi nam sey hai

(If there is no flower nightingale music should also not be
In the world’s garden smile of flower buds should also not be
If there is no cup bearer, wine and decanter should also not be
Tawhid’s Assembly in the world and you should also not be
The system of the universe is stable by this very name
The existence’ pulse is warm with this very name.)

Aql hai teri sipar ish a shamsheer teri
Merey darvesh khilafat hai jehangir teri
Ma siwallah ke lia aag hai takbeer teri
Too Musalman ho to taqdir hai tadbir teri
Ki Muhammad se wafa toonay to ham teray hain
Ye jahan cheez hai kiya lauho qalam tere hain

(Intellect is your shield, Love is your sword
My dervish!  Your vicegerency  is world-conquering
Your Takbir like fire for Godlessness is
If you are Muslim your prudence your destiny is
If you are loyal to Muhammad we are yours
This universe is nothing the Tablet and the Pen[11] are yours.)


[1] Arabic word Tawhid means Oneness of God.

[2] Hudi are songs which the camel drivers sing when the caravan is marching.

[3]Din is religion of Islam and Faran is the mountain on which the cave of Hira is located Here the prophet of Islam received the first revelation from God.

[4] Sulaiman is the name of one of the great prophets.

[5] Here Allama Iqbal is referring to himself and his songs.

[6]The poppy flower has a black stain at the bottom of its corolla. The poet is referring this as a mark of Love of God.

[7] The use of two words “We” and “Us” instead of “I” and “Me” denote Grandeur and Glory of God. These are also used in Qur’an by God Himself.

[8]This is the generic name of one of the ancient pre-Islamic dynasties of pre-Christian Iran (Persia). Persia was a world power for several pre.Christian centuries. This dynasty is used as a metaphor for grandeur and power.

[9] Tur is name of mountain where Musa faced the Truth (Eternal Light).

[10]Here Iqbal is referring to the story of Prophet Yusuf in Qur’an’s Sura 12. In this verse he says the the place of Yusuf’s residence was Kan’an but the Islam and Muslims are not restricted to boundaries. Wherever they are it is their homeland.

[11] LAUH-O-QALAM is combination of  “Lauh” (denotes Lauh-i Mahfuz and means preserved tablet) and Qalam means pen.  Lauh-o-Qalam exists in the metaphysical world and they are the implements with which the decrees of God are recorded and in which they are preserved.