Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise
Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise
Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise
Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-E-Khayal Mein
Guldasta-E-Nigah Suweda Kahen Jise
Guldasta-E-Nigah Suweda Kahen Jise
Phunka Hai Kisne Goshe Muhabbat Mein Ai Khuda
Afsun-E-Intazar Tamanna Kahen Jise
Afsun-E-Intazar Tamanna Kahen Jise
Sar Par Hujum-E-Dard-E-Garibi Se Daliye
Wo Ek Musht-E-Khak K Sahra Kahen Jise
Wo Ek Musht-E-Khak K Sahra Kahen Jise
Hai Chashm-E-Tar Mein Hasrat-E-Didar Se Nihan
Shauq-E-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise
Shauq-E-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise
Darkar Hai Shiguftan-E-Gul Haye Aish Ko
Subh-E-Bahar Panba-E-Mina Kahen Jise
Subh-E-Bahar Panba-E-Mina Kahen Jise
“Ghalib” Bura Na Man Jo Waiz Bura Kahe
Aisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise
Aisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise
No comments:
Post a Comment