Total Pageviews

Thursday, November 21, 2013

Khafa hona bhi mumkin hai, Khata hona bhi mumkin hai,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana lena,
Yeh sadiyon say riwayat hai,
Gilay shikway karo mujh se,
Tumhain janan ijazat hai,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh lena,
Kabhi aisa bhi hota hai,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hai,
Khata hona bhi mumkin hai,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay se,
Kabhi toota nahin karte…!

No comments:

Post a Comment